Kaun Kehta Hai
Kaun Kehta Hai

Sandhya Posted on 01 Jan 1970

ghar ke andar bhi main giraft

ghar ke chuakhat par bhi main

 

kaun kehta hain Kashmir aakhir hua azaad

yeh andhera hua hain aur bhi gehraa aaj

 

itni tez hain roshni ke bann gaye hain andhey hum

geheban main dhokey baaz sholon ke cheetey hain jaley

 

kaun kehta hain Kashmir aakhir hua azaad

yeh andhera hua hain aur bhi gehraa aaj

 

zubaan par hain taaley aur taaliyon ki goonj

woh cheekoke sannatey fir rahey hain masoom

 

kaun kehta hain Kashmir aakhir hua azaad

yeh andhera hua hain aur bhi gehraa aaj



Connect with us